Waqt Suvichar Kavita in Hindi. Best Suvichar Shayari in Hindi. Famous and Latest Hindi Poems, Suvichar Shayari and Kavita in Hindi. Sher-O-Shayari Collection...


Ghar Banaane Mein Waqt Lagta Hai,
Par Mitaane Mein Pal Nahin Lagta,
Dosti Badi Mushkil Se Banti Hai,
Par Dushmani Mein Waqt Nahin Lagta,
Guzar Jaati Hai Umar Rishte Banaane Mein,
Par Tootne Mein Waqt Nahin Lagta,
Jo Kamaata Hai Saalo Mein Aadami,
Usse Gawaane Mein Waqt Nahin Lagta,
Pal Pal Kar Umar Paati Hai Zindagi,
Par Mit Jaane Mein Waqt Nahin Lagta,
Udte Hain Jo Aham Ke Aasmaano Mein,
Zameen Par Girne Mein Waqt Nahin Lagta,
Har Tarah Ka Waqt Aata Hai Zindagi Mein,
Guzar Jaane Mein Waqt Nahin Lagta..





Post a Comment Blogger

 
Top